Sunday, April 28, 2013

Yaaden..

Uski yaadon ki chaon me
Mai swarg bnaye baitha hun.
Har pal wo mujse ladti hai
Par fir bhi apna kehta hun
Kuch baat to hai uski fitrat me
Isliye liye usi pe marta hui
Uski har ek muskurat pe apni jaan chidakta hun
Uski sanso ki garmi me dil jalna har pal chahta hai
Door na ho wo ek pal bhi
Kuch aisa karna chata hai
Par duniya ki bandish hai aesi
Dedaar bhi na ho pata hai
Kash hwa ki chuan teri sanso ki garmi le ata
Mere is veeran jeevan me kuch aas teri bhar jata.
Tujse milne ki har pal ek aas lgaye baitha hun
Teri yaadon ki chaon me
Mai swarg bnae baitha hun

Wo Ajnabee..


Wo mile humse ajnabi ki tarah.
Fir apna bnaya.dil me bsaya
Umeeden jgai roshni ki tarah.
Baaten huin
Mulakaaten hui.
Sab badhta gya zindagi ki tarah
Wo haste gaye hum hasate gaye.zindagi me unko basate gaye.
Ban gaye wo jarurat zamin ki tarah.

Jhonka hwa ka fir aya ek din sab uda le gya
 ek kasti ki tarah.
Aye the zindagi me kuch pal ke.liye.
Aur fir gaye wo khushi ki tarah
Chod ke chal diye gairon ki tarah
Kehte hai bhool jao wo sab.
Par Wo yaaden hai chubti sui ki tarah.
Jao tum khush raho apne yaha
Hum jee legen subah ki tarah.

Sunday, September 2, 2012

Baarish..

Loo aa gyi barish leke apni kahani,
Jo sadiyon se na badli,na hui purani,

Wo badal ka ghumadna,
Wo bijli ka chamakna,
Wo hawaon ka behna,
Wo boondon ka girna,

Sabhi ye hain kehte ki,Tum na sehamna,
Chahe to rahon me kitni hi adchan,
Magar apni rahon ko tum na badalna.

Wo hawa ka machalna
Joron se chalna,
Wo bilji ki kampan se,
Patton ka hilna

Sikhate hai humko,mushkil se ladna,
Chalte hai jana,girna sambhalna,
Manzil se pehle na  khushiyan manani,


Loo aa gyi barish leke apni kahani,
Jo sadiyon se na badli,na hui purani,



Thursday, July 26, 2012

Wo Bachpan Ke Din...


Jab dil me tammanna thi,aur khwabo me fasana tha,
kaha ab kho gya wo bachpan,jab har mausam suhana tha.

Akhon me chamak rehti,masoom sa wo chehra tha,
Aasmano ke tarron me jaise apna basera tha,
Chand ko dekhkar humko mama ki yaad aati thi,
Maa loriyan gaake roj humko sulati thi,

Har koi tha behad apna,na koi bhi begana tha,
Kaha ab kho gya wo bachpan,jab har mausam suhana tha.

Doston se jaise lagta koi rishta purana tha,
Pal do pal ki ladai hoti aur fir wahi yarana tha,
Sath me school bhi jate,sat ghar bhi to ana tha,
Rashte bhar masti karte aur kahaniyan bhi sunana tha,

Jab mitti ka gharonda bhi lagta jaise ashiyana  tha,
Kaha ab kho gya wo bachpan,jab har mausam suhana tha.

Papa ki ungli us samay jaise sabse majboota sahara tha,
Papa ka kadhna hi lagta,jab takiya hamara tha,
Galti karne pe bhi unka sabse pyara dulara tha,
Kabhi dant ke kabhi pyaar se mujko sawara tha

Chand rupya paakr bhi lagta ,jaise mil gya khajana tha,
Kaha ab kho gya wo bachpan,jab har mausam suhana tha.

Ab to bas reh gyi yaaden,jab wo samay hamara tha,
Ankhon me ansson dekhke,jab har koi sahara tha,
Na kisi dil me koi dar tha,pahunch me ye jahan sara tha,
Tere mere ke chakkar me,na koi bhay na koi bantwara tha,

Beeti yaadon ko sochke hai lagta ki wo bhi kya zamana tha,
Kaha ab kho gya wo bachpan,jab jab har mausam suhana tha.