Sunday, September 2, 2012

Baarish..

Loo aa gyi barish leke apni kahani,
Jo sadiyon se na badli,na hui purani,

Wo badal ka ghumadna,
Wo bijli ka chamakna,
Wo hawaon ka behna,
Wo boondon ka girna,

Sabhi ye hain kehte ki,Tum na sehamna,
Chahe to rahon me kitni hi adchan,
Magar apni rahon ko tum na badalna.

Wo hawa ka machalna
Joron se chalna,
Wo bilji ki kampan se,
Patton ka hilna

Sikhate hai humko,mushkil se ladna,
Chalte hai jana,girna sambhalna,
Manzil se pehle na  khushiyan manani,


Loo aa gyi barish leke apni kahani,
Jo sadiyon se na badli,na hui purani,



No comments: