Thursday, July 26, 2012

Wo Bachpan Ke Din...


Jab dil me tammanna thi,aur khwabo me fasana tha,
kaha ab kho gya wo bachpan,jab har mausam suhana tha.

Akhon me chamak rehti,masoom sa wo chehra tha,
Aasmano ke tarron me jaise apna basera tha,
Chand ko dekhkar humko mama ki yaad aati thi,
Maa loriyan gaake roj humko sulati thi,

Har koi tha behad apna,na koi bhi begana tha,
Kaha ab kho gya wo bachpan,jab har mausam suhana tha.

Doston se jaise lagta koi rishta purana tha,
Pal do pal ki ladai hoti aur fir wahi yarana tha,
Sath me school bhi jate,sat ghar bhi to ana tha,
Rashte bhar masti karte aur kahaniyan bhi sunana tha,

Jab mitti ka gharonda bhi lagta jaise ashiyana  tha,
Kaha ab kho gya wo bachpan,jab har mausam suhana tha.

Papa ki ungli us samay jaise sabse majboota sahara tha,
Papa ka kadhna hi lagta,jab takiya hamara tha,
Galti karne pe bhi unka sabse pyara dulara tha,
Kabhi dant ke kabhi pyaar se mujko sawara tha

Chand rupya paakr bhi lagta ,jaise mil gya khajana tha,
Kaha ab kho gya wo bachpan,jab har mausam suhana tha.

Ab to bas reh gyi yaaden,jab wo samay hamara tha,
Ankhon me ansson dekhke,jab har koi sahara tha,
Na kisi dil me koi dar tha,pahunch me ye jahan sara tha,
Tere mere ke chakkar me,na koi bhay na koi bantwara tha,

Beeti yaadon ko sochke hai lagta ki wo bhi kya zamana tha,
Kaha ab kho gya wo bachpan,jab jab har mausam suhana tha.